Sometime back I got to meet a few people who shared with me their first hand experiences around the partition (1947). Even after so much time has passed, the disillusionment and tears in their eyes - as they recalled incidents with horror and grief - were very real. A few thoughts that remained with me post those interviews – I guess I will never forget.
Chaukhat ke ek kone mein
Dekha…
makdi jhalar boon rahi thi
Oopar haath tatola
Dekha…
Killi ab tak wahin padi thi
Ponchkar, dastak di
Andar jhanke dekha…
Angan mein to koi nahin tha
Par rassi pe jhul rahe kapde the…
Ab bhi taaze
Shaayad koi yahin kahin tha
Pairon pe woh chipak rahi thi
Jis par
Maachis ke dibbon mein kankar wali gaadi
…Khamosh khadi thi
Aur sannate ki awazein
Kaano mein kuch goonj rahi thi
sooraj ki kirne chamkati –
maile peele zevar the woh
Jo ek ched se taank rahe the
aadhe andar aadhe bahar gade pade the
chukar dekha – parat ab tak sili hui thi
mano pehen ke abhi ootare
Aur rakhe the
jalne ka ehsaas hua jo
Chuleh tak jaakar dekha to
Thandi bhuri raakh padi thi
Thandi aag mein chehre dekhe
Kuch jaane the kuch anjane
Cheheron mein aankhein thi…
Jaise gehri peeli
Aahein ab tak sulagh rahin thi
No comments:
Post a Comment