Sunday, November 27, 2005

Bas Yoon Hi

A background

An attempt to capture the pain of separation…to understand the absurdity of human emotions…of love.

Some experiences can be so numbing that you just stop asking yourself WHY

Sometimes all it takes is ONE MOMENT…to changes the course of life forever and beyond recognition that you almost feel like it’s not your life anymore that you are living. Bas Yoon Hi is an attempt to capture that feeling.

Bas Yoon Hi…

Tumhare saath chalte chalte kab mod aaya aur kab tum mudh gaye, pata hi nahin chala.

Raaste mein mod pehle bhi aaye the par is baar bas yoon hi tume apna raasta alagh chun liya. Bas yoon hi?

Bas yoon hi… ek hi pal mein zingadi mein sannate chaane lage
Bas yoon hi… hum apne aap ko akela paane lage
Bas yoon hi…baithe baithe palkon se aasoon aane lage
Bas yoon hi?

Tumhare saath guzara hua kal .aaj kisi aur ka ho gayaa
Rote Rote kab hume neend aagayee…kab dil so gaya?
Neend se kab jaage?…jab jaage tab tum paas the
Phir ek chutki mein gom ho gaye…sirf tumhare ehsaas the

Bas inhi bhujti khulti palkon mein … watq to kat jata
Par aaine mein jab dekhte to hume apna hi chehra anjaan nazar aata

Tumhara khayaal jab aata to ek ghutan si mehsoos hoti
Na is ghotan ko hum bahar le aa pate…na andar rakh paate.

Ab is ghutan ko saath le kar ghoomtein rahetein hai
Sooni rahaon mein guzare hue pal doondhtein rahetein hai.

Inhi rahon mein chalte chalte phir ek baar tumhare roo baroo aagaye
Yakeen nahin aaya ki woh tumhi the
Kya woh tumhi the…jisne hume dekh ke
Phir ek baar aakhein choora li…phir ek baar moodh gaye?
Haan woh tumhi ho jo beech raaste mein hume akela chod gaye
Hume apne zingadi ka modh dhoondhene ke liye…

Categories: Poems_

No comments:

Post a Comment